boriya bistar uTha curfew laga hai
boriyā bistar uThā curfew lagā hai
mat kisī ko de sadā curfew lagā hai
ghūmte haiñ sirf sannāTe galī meñ
aadmī hai lāpata curfew lagā hai
ek suuba ek jañgal ho gayā hai
jal rahā hai har zilā' curfew lagā hai
aag kā dariyā makānoñ tak na pahuñche
ho dukānoñ kā bhalā curfew lagā hai
bhar gayā hai peT lāshoñ se saḌak kā
ho ga.ī hai intihā curfew lagā hai
rah gayā padchāp ko āñgan taras kar
so gayā hai rāsta curfew lagā hai
chāquoñ ke aur talvāroñ ke saa.e
zindagī par haiñ fidā curfew lagā hai
kal kā sūraj kyā dikhā.e raam jaane
aaj ik hafta huā curfew lagā hai
boriya bistar uTha curfew laga hai
mat kisi ko de sada curfew laga hai
ghumte hain sirf sannaTe gali mein
aadmi hai lapata curfew laga hai
ek suba ek jangal ho gaya hai
jal raha hai har zila' curfew laga hai
aag ka dariya makanon tak na pahunche
ho dukanon ka bhala curfew laga hai
bhar gaya hai peT lashon se saDak ka
ho gai hai intiha curfew laga hai
rah gaya padchap ko aangan taras kar
so gaya hai rasta curfew laga hai
chaquon ke aur talwaron ke sae
zindagi par hain fida curfew laga hai
kal ka suraj kya dikhae ram jaane
aaj ek hafta hua curfew laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.