bughz-o-hasad ki aag se bahar nikal de
buġhz-o-hasad kī aag se bāhar nikāl de
mujh ko shu.ūr-o-fikr ke raste pe Daal de
jin ke javāb meñ mujhe terā sirā mile
fikr-e-rasā ko aise musalsal savāl de
tere alāva haath ye phaile nahīñ kahīñ
apnī janāb se mujhe rizq-e-halāl de
ārām karnā jurm ho manzil kī khoj meñ
mujh ko mire mizāj meñ auj-e-kamāl de
karnā hai raushnī se munavvar jahān-gar
zulmat-zada sahar ko azān-e-bilāl de
itnā uruuj baḳhsh mire husn-e-sher ko
har ek likhne vaalā 'zafar' kī misāl de
bughz-o-hasad ki aag se bahar nikal de
mujh ko shuur-o-fikr ke raste pe Dal de
jin ke jawab mein mujhe tera sira mile
fikr-e-rasa ko aise musalsal sawal de
tere alawa hath ye phaile nahin kahin
apni janab se mujhe rizq-e-halal de
aaram karna jurm ho manzil ki khoj mein
mujh ko mere mizaj mein auj-e-kamal de
karna hai raushni se munawwar jahan-gar
zulmat-zada sahar ko azan-e-bilal de
itna uruj baKHsh mere husn-e-sher ko
har ek likhne wala 'zafar' ki misal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.