bujh gae sare mahtab tere
bujh ga.e saare māhtāb tire
ab kahāñ haiñ vo āftāb tire
paidā hote hī par nikal aa.e
dekh din ā.eñge ḳharāb tire
tujh se nafrat kī intihā hai ye
sone dete nahīñ haiñ ḳhvāb tire
ḳhud ko lagne na duuñ koī kāñTā
tere hāthoñ se luuñ gulāb tire
tere chehre pe pot dī kālak
merī Thokar pe sab azaab tire
ab to ḳhush hai ki pahlī fursat meñ
tujh ko lauTā diye javāb tire
bujh gae sare mahtab tere
ab kahan hain wo aaftab tere
paida hote hi par nikal aae
dekh din aaenge KHarab tere
tujh se nafrat ki intiha hai ye
sone dete nahin hain KHwab tere
KHud ko lagne na dun koi kanTa
tere hathon se lun gulab tere
tere chehre pe pot di kalak
meri Thokar pe sab azab tere
ab to KHush hai ki pahli fursat mein
tujh ko lauTa diye jawab tere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.