bujh gai sham-e-haram bab-e-kalisa na khula
bujh ga.ī sham-e-haram bāb-e-kalīsā na khulā
khul ga.e zaḳhm ke lab terā darīcha na khulā
dar-e-tauba se bagūloñ kī tarah guzre log
abr kī tarah umaD aa.e jo mai-ḳhāna khulā
shahr-dar-shahr phirī merī gunāhoñ kī bayāz
baa'z nazroñ pe mirā soz-e-hakīmāna khulā
nāznīnoñ meñ rasā.ī kā ye 'ālam thā kabhī
laakh pahroñ meñ bhī darvāze pe darvāza khulā
ham parī-zādoñ meñ khele shab-e-afsūñ meñ pale
ham se bhī tere tilismāt kā 'uqda na khulā
ek ik shakl ko dekhā hai baḌī hasrat se
ajnabī kaun hai aur kaun shanāsā na khulā
ret par pheñk ga.ī 'aql kī gustāḳh-labī
phir kabhī kashf-o-karāmāt kā dariyā na khulā
bujh gai sham-e-haram bab-e-kalisa na khula
khul gae zaKHm ke lab tera daricha na khula
dar-e-tauba se bagulon ki tarah guzre log
abr ki tarah umaD aae jo mai-KHana khula
shahr-dar-shahr phiri meri gunahon ki bayaz
ba'z nazron pe mera soz-e-hakimana khula
nazninon mein rasai ka ye 'alam tha kabhi
lakh pahron mein bhi darwaze pe darwaza khula
hum pari-zadon mein khele shab-e-afsun mein pale
hum se bhi tere tilismat ka 'uqda na khula
ek ek shakl ko dekha hai baDi hasrat se
ajnabi kaun hai aur kaun shanasa na khula
ret par phenk gai 'aql ki gustaKH-labi
phir kabhi kashf-o-karamat ka dariya na khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.