bujha deta hawas ki tishnagi wo jam hai saqi
bujhā detā havas kī tishnagī vo jaam hai saaqī
jahāñ maiñ jis se miltā huuñ vahī nākām hai saaqī
nasha gahrā kahāñ itnā ki hoñ chaudah tabaq raushan
taraqqī-yāfta mulkoñ kī baada ḳhaam hai saaqī
mire atrāf hai tīra-shabī meñ nuur kā halqa
ki sham-e-rāh maiḳhāne se ghar tak jaam hai saaqī
kitāb-e-sīrat-o-aḳhlāq de insāñ ke hāthoñ meñ
taraqqī dānish-o-ījād kī nākām hai saaqī
sunā iqbāl-e-isyāñ ḳhalvatoñ meñ vaj.h-e-baḳhshish hai
kalīsāoñ meñ ye tarz-e-ibādat aam hai saaqī
vahī zālim haiñ sho.ala-bār insānoñ kī bastī par
vo israel jin par bārish-e-ikrām hai saaqī
amal-pairā vahī haiñ ḳhush-ḳhor-o-ḳhush-zī pe saḳhtī se
zabāñ pe jin kī fāqa-kash kā har dam naam hai saaqī
kahāñ nān-e-javīñ aur roġhan-e-zaitūn-o-shaiḳh-e-dīñ
ra.ūsā ke yahāñ mīlān-e-dāvat aam hai saaqī
rivāj-e-madrasa hai dopahar ke vaqt qailūla
yahāñ shab zinda-dārī mā.il-e-ārām hai saaqī
ḳhafā hai madrasa ik sidq-go-e-nāgpūrī se
tirā mai-ḳhvār is māhaul meñ badnām hai saaqī
bujha deta hawas ki tishnagi wo jam hai saqi
jahan main jis se milta hun wahi nakaam hai saqi
nasha gahra kahan itna ki hon chaudah tabaq raushan
taraqqi-yafta mulkon ki baada KHam hai saqi
mere atraf hai tira-shabi mein nur ka halqa
ki sham-e-rah maiKHane se ghar tak jam hai saqi
kitab-e-sirat-o-aKHlaq de insan ke hathon mein
taraqqi danish-o-ijad ki nakaam hai saqi
suna iqbaal-e-isyan KHalwaton mein wajh-e-baKHshish hai
kalisaon mein ye tarz-e-ibaadat aam hai saqi
wahi zalim hain shoala-bar insanon ki basti par
wo israel jin par barish-e-ikram hai saqi
amal-paira wahi hain KHush-KHor-o-KHush-zi pe saKHti se
zaban pe jin ki faqa-kash ka har dam nam hai saqi
kahan nan-e-jawin aur roghan-e-zaitun-o-shaiKH-e-din
rausa ke yahan milan-e-dawat aam hai saqi
riwaj-e-madrasa hai dopahar ke waqt qailula
yahan shab zinda-dari mail-e-aram hai saqi
KHafa hai madrasa ek sidq-go-e-nagpuri se
tera mai-KHwar is mahaul mein badnam hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.