bujha diye hain KHud apne hathon mohabbaton ke diye jala ke
bujha diye hain KHud apne hathon mohabbaton ke diye jala ke
Sahir Ludhianvi
MORE BYSahir Ludhianvi
bujhā diye haiñ ḳhud apne hāthoñ mohabbatoñ ke diye jalā ke
mirī vafā ne ujaaḌ dī haiñ umiid kī bastiyāñ basā ke
tujhe bhulā deñge apne dil se ye faisla to kiyā hai lekin
na dil ko mālūm hai na ham ko jiyeñge kaise tujhe bhulā ke
kabhī mileñge jo rāste meñ to muñh phirā kar palaT paḌeñge
kahīñ suneñge jo naam terā to chup raheñge nazar jhukā ke
na sochne par bhī sochtī huuñ ki zindagānī meñ kyā rahegā
tirī tamannā ko dafn kar ke tire ḳhayāloñ se duur jā ke
bujha diye hain KHud apne hathon mohabbaton ke diye jala ke
meri wafa ne ujaD di hain umid ki bastiyan basa ke
tujhe bhula denge apne dil se ye faisla to kiya hai lekin
na dil ko malum hai na hum ko jiyenge kaise tujhe bhula ke
kabhi milenge jo raste mein to munh phira kar palaT paDenge
kahin sunenge jo nam tera to chup rahenge nazar jhuka ke
na sochne par bhi sochti hun ki zindagani mein kya rahega
teri tamanna ko dafn kar ke tere KHayalon se dur ja ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.