bujhai hai teri nazron se aksar tishnagi maine
bujhā.ī hai tirī nazroñ se aksar tishnagī maiñ ne
kiyā hai muddatoñ is tarah shaġhl-e-mai-kashī maiñ ne
ḳhushā vo marhale jin marhaloñ meñ jaise ghabrā kar
mujhe āvāz dī tum ne tumheñ āvāz dī maiñ ne
mirī dīvāngī ko ahl-e-īmāñ kufr kahte haiñ
banāyā hai bahut ūñchā maqām-e-bandagī maiñ ne
ab is ko intihā-e-zauq kahiye yā junūñ kahiye
vo parde meñ rahe tasvīr dil meñ khīñch lī maiñ ne
huī haiñ laġhzisheñ donoñ se ham donoñ hī mujrim haiñ
ki dāmān-e-vafā chhoḌā kabhī tum ne kabhī maiñ ne
maiñ us mahfil ko Thukrā kar chalā aayā huuñ ai 'rahmat'
jahāñ mahsūs kī iḳhlās-o-ulfat kī kamī maiñ ne
bujhai hai teri nazron se aksar tishnagi main ne
kiya hai muddaton is tarah shaghl-e-mai-kashi main ne
KHusha wo marhale jin marhalon mein jaise ghabra kar
mujhe aawaz di tum ne tumhein aawaz di main ne
meri diwangi ko ahl-e-iman kufr kahte hain
banaya hai bahut uncha maqam-e-bandagi main ne
ab is ko intiha-e-zauq kahiye ya junun kahiye
wo parde mein rahe taswir dil mein khinch li main ne
hui hain laghzishen donon se hum donon hi mujrim hain
ki daman-e-wafa chhoDa kabhi tum ne kabhi main ne
main us mahfil ko Thukra kar chala aaya hun ai 'rahmat'
jahan mahsus ki iKHlas-o-ulfat ki kami main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.