bujhi bujhi hui aankhon mein goshwara-e-KHwab
bujhī bujhī huī āñkhoñ meñ goshvārā-e-ḳhvāb
so ham uThā.e hue phirte haiñ ḳhasāra-e-ḳhvāb
vo ik charāġh magar ham se duur duur jalā
hamīñ ne jis ko banāyā thā isti.āra-e-ḳhvāb
chamak rahī hai ik āvāz mere hujre meñ
kalām kartā hai āñkhoñ se ik sitāra-e-ḳhvāb
maiñ ahl-e-duniyā se masrūf-e-jañg ho jā.ūñ
ki pichhlī raat milā hai mujhe ishāra-e-ḳhvāb
ajab nahīñ mirī nīndeñ bhī jal uTheñ is baar
dabā huā mire bistar meñ hai sharāra-e-ḳhvāb
bujhi bujhi hui aankhon mein goshwara-e-KHwab
so hum uThae hue phirte hain KHasara-e-KHwab
wo ek charagh magar hum se dur dur jala
hamin ne jis ko banaya tha istiara-e-KHwab
chamak rahi hai ek aawaz mere hujre mein
kalam karta hai aankhon se ek sitara-e-KHwab
main ahl-e-duniya se masruf-e-jang ho jaun
ki pichhli raat mila hai mujhe ishaara-e-KHwab
ajab nahin meri ninden bhi jal uThen is bar
daba hua mere bistar mein hai sharara-e-KHwab
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 35)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 100)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.