bujhne de sab diye mujhe tanhai chahiye
bujhne de sab diye mujhe tanhā.ī chāhiye
kuchh der ke liye mujhe tanhā.ī chāhiye
kuchh ġham kashīd karne haiñ apne vajūd se
jā ġham ke sāthiye mujhe tanhā.ī chāhiye
uktā gayā huuñ ḳhud se agar maiñ to kyā huā
ye bhī to dekhiye mujhe tanhā.ī chāhiye
ik roz ḳhud se milnā hai apne ḳhumār meñ
ik shaam bin piye mujhe tanhā.ī chāhiye
takrār is meñ kyā hai agar kah rahā huuñ maiñ
tanhā.ī chāhiye mujhe tanhā.ī chāhiye
duniyā se kuchh nahīñ hai sarokār ab mujhe
be-shak mire liye mujhe tanhā.ī chāhiye
bujhne de sab diye mujhe tanhai chahiye
kuchh der ke liye mujhe tanhai chahiye
kuchh gham kashid karne hain apne wajud se
ja gham ke sathiye mujhe tanhai chahiye
ukta gaya hun KHud se agar main to kya hua
ye bhi to dekhiye mujhe tanhai chahiye
ek roz KHud se milna hai apne KHumar mein
ek sham bin piye mujhe tanhai chahiye
takrar is mein kya hai agar kah raha hun main
tanhai chahiye mujhe tanhai chahiye
duniya se kuchh nahin hai sarokar ab mujhe
be-shak mere liye mujhe tanhai chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.