bujhti aankhon mein tere KHwab ka bosa rakkha
bujhtī āñkhoñ meñ tire ḳhvāb kā bosa rakkhā
raat phir ham ne añdheroñ meñ ujālā rakkhā
zaḳhm siine meñ to āñkhoñ meñ samundar Thahrā
dard ko maiñ ne mujhe dard ne zinda rakkhā
saath rahtā thā magar saath nahīñ thā mere
us kī qurbat ne bhī aksar mujhe tanhā rakkhā
vaqt ke saath tujhe bhuul hī jaatā lekin
ik hare ḳhat ne mire zaḳhm ko taaza rakkhā
merā īmāñ na Tikā pā.īñ hazāroñ shakleñ
merī āñkhoñ ne tire pyaar meñ roza rakkhā
kyā qayāmat hai ki terī hī tarah se mujh se
zindagī ne bhī bahut duur kā rishta rakkhā
bujhti aankhon mein tere KHwab ka bosa rakkha
raat phir hum ne andheron mein ujala rakkha
zaKHm sine mein to aankhon mein samundar Thahra
dard ko main ne mujhe dard ne zinda rakkha
sath rahta tha magar sath nahin tha mere
us ki qurbat ne bhi aksar mujhe tanha rakkha
waqt ke sath tujhe bhul hi jata lekin
ek hare KHat ne mere zaKHm ko taza rakkha
mera iman na Tika pain hazaron shaklen
meri aankhon ne tere pyar mein roza rakkha
kya qayamat hai ki teri hi tarah se mujh se
zindagi ne bhi bahut dur ka rishta rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.