Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bulate kyun ho aajiz ko bulana kya maza de hai

Kaleem Aajiz

bulate kyun ho aajiz ko bulana kya maza de hai

Kaleem Aajiz

MORE BYKaleem Aajiz

    bulāte kyuuñ ho 'ājiz' ko bulānā kyā mazā de hai

    ġhazal kam-baḳht kuchh aisī paḌhe hai dil hilā de hai

    mohabbat kyā balā hai chain lenā bhulā de hai

    zarā bhī aañkh jhapke hai to betābī jagā de hai

    tire hāthoñ surḳhī ḳhud subūt is baat de hai

    ki jo kah de hai dīvāna vo kar ke bhī dikhā de hai

    ġhazab fitna-sāzī aa.e hai us āfat-e-jāñ ko

    sharārat ḳhud kare hai aur hameñ tohmat lagā de hai

    mirī barbādiyoñ Daal kar ilzām duniyā par

    vo zālim apne muñh par haath rakh kar muskurā de hai

    ab insānoñ bastī ye aalam hai ki mat pūchho

    lage hai aag ik ghar meñ to ham-sāya havā de hai

    kaleja thaam kar sunte haiñ lekin sun lete haiñ

    mire yāroñ ko mere ġham talḳhī bhī mazā de hai

    bulate kyun ho 'ajiz' ko bulana kya maza de hai

    ghazal kam-baKHt kuchh aisi paDhe hai dil hila de hai

    mohabbat kya bala hai chain lena hi bhula de hai

    zara bhi aankh jhapke hai to betabi jaga de hai

    tere hathon ki surKHi KHud subut is baat ka de hai

    ki jo kah de hai diwana wo kar ke bhi dikha de hai

    ghazab ki fitna-sazi aae hai us aafat-e-jaan ko

    shararat KHud kare hai aur hamein tohmat laga de hai

    meri barbaadiyon ka Dal kar ilzam duniya par

    wo zalim apne munh par hath rakh kar muskura de hai

    ab insanon ki basti ka ye aalam hai ki mat puchho

    lage hai aag ek ghar mein to ham-saya hawa de hai

    kaleja tham kar sunte hain lekin sun hi lete hain

    mere yaron ko mere gham ki talKHi bhi maza de hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now