bulati hai magar jaane ka nain
bulātī hai magar jaane kā na.iñ
vo duniyā hai udhar jaane kā na.iñ
sitāre noch kar le jā.ūñgā
maiñ ḳhālī haath ghar jaane kā na.iñ
mire beTe kisī se ishq kar
magar had se guzar jaane kā na.iñ
vo gardan nāptā hai naap le
magar zālim se Dar jaane kā na.iñ
vabā phailī huī hai har taraf
abhī māhaul mar jaane kā na.iñ
bulati hai magar jaane ka nain
wo duniya hai udhar jaane ka nain
sitare noch kar le jaunga
main KHali hath ghar jaane ka nain
mere beTe kisi se ishq kar
magar had se guzar jaane ka nain
wo gardan napta hai nap le
magar zalim se Dar jaane ka nain
waba phaili hui hai har taraf
abhi mahaul mar jaane ka nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.