bulandi se utare ja chuke hain
bulandī se utāre jā chuke haiñ
zamīñ par lā ke maare jā chuke haiñ
dikhā.e beach dariyā kaun rasta
falak ḳhālī hai taare jā chuke haiñ
ma.ānī kyā rahe ḳhuddāriyoñ ke
ki dāman to pasāre jā chuke haiñ
ye puurā sach hai tum maano na maano
ki achchhe din tumhāre jā chuke haiñ
bhanak tak bhī na pahuñchī us kī ham tak
hamāre din guzāre jā chuke haiñ
ab is andhe kuñ.eñ ko band kar do
ka.ī bachche hamāre jā chuke haiñ
bulandi se utare ja chuke hain
zamin par la ke mare ja chuke hain
dikhae beach dariya kaun rasta
falak KHali hai tare ja chuke hain
maani kya rahe KHuddariyon ke
ki daman to pasare ja chuke hain
ye pura sach hai tum mano na mano
ki achchhe din tumhaare ja chuke hain
bhanak tak bhi na pahunchi us ki hum tak
hamare din guzare ja chuke hain
ab is andhe kunen ko band kar do
kai bachche hamare ja chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.