Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bulbul ka shor sun ke na mujhse raha gaya

Meer Taqi Meer

bulbul ka shor sun ke na mujhse raha gaya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    bulbul shor sun ke na mujh se rahā gayā

    maiñ be-dimāġh baaġh se uTh kar chalā gayā

    logoñ ne paa.ī raakh Dherī mirī jagah

    ik sho.ala mere dil se uThā thā chalā gayā

    chehre pe baal bikhre rahe sab shab-e-visāl

    ya.anī ki be-muravvatī se muñh chhupā gayā

    chalnā huā to qāfila-e-rozgār se

    maiñ juuñ sadā jaras akelā judā gayā

    kyā baat rah ga.ī hai mire ishtiyāq se

    ruq.e ke likhte likhte tarassul likhā gayā

    sab zaḳhm-e-sadr un ne namak-band ḳhud kiye

    sohbat jo bigḌī apne meñ saarā maza gayā

    saare havās mere pareshāñ haiñ ishq meñ

    is raah meñ ye qāfila saarā luTā gayā

    bādal garaj garaj ke sunātā hai ya.anī yaañ

    naubat se apnī har koī naubat bajā gayā

    ve mahv-e-nāz rahe aa.e na is taraf

    maiñ muntazir to se gayā un kyā gayā

    dil de ke jaan 'mīr' ne pāyān-e-kār

    ye sāda-lauh tarah na.ī dil lagā gayā

    bulbul ka shor sun ke na mujh se raha gaya

    main be-dimagh bagh se uTh kar chala gaya

    logon ne pai rakh ki Dheri meri jagah

    ek shoala mere dil se uTha tha chala gaya

    chehre pe baal bikhre rahe sab shab-e-visal

    yani ki be-murawwati se munh chhupa gaya

    chalna hua to qafila-e-rozgar se

    main jun sada jaras ki akela juda gaya

    kya baat rah gai hai mere ishtiyaq se

    ruqe ke likhte likhte tarassul likha gaya

    sab zaKHm-e-sadr un ne namak-band KHud kiye

    sohbat jo bigDi apne mein sara maza gaya

    sare hawas mere pareshan hain ishq mein

    is rah mein ye qafila sara luTa gaya

    baadal garaj garaj ke sunata hai yani yan

    naubat se apni har koi naubat baja gaya

    we mahw-e-naz hi rahe aae na is taraf

    main muntazir to ji se gaya un ka kya gaya

    dil de ke jaan 'mir' ne payan-e-kar di

    ye sada-lauh tarah nai dil laga gaya

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1796
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now