bulbul kaho gul ki kya KHabar hai
bulbul kaho gul kī kyā ḳhabar hai
gulshan meñ bahār kis qadar hai
manzūr-e-nazar hai jab se ḳhush-chashm
apnī na kisū taraf nazar hai
gar shaiḳh ne aah kī to mat bhuul
dil meñ patthar ke bhī sharar hai
nargis jo khaḌī hai 'ishq' hairān
kis jāniye kis kī raah par hai
bulbul kaho gul ki kya KHabar hai
gulshan mein bahaar kis qadar hai
manzur-e-nazar hai jab se KHush-chashm
apni na kisu taraf nazar hai
gar shaiKH ne aah ki to mat bhul
dil mein patthar ke bhi sharar hai
nargis jo khaDi hai 'ishq' hairan
kis jaaniye kis ki rah par hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.