Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bulbul sune na kyunki qafas mein chaman ki baat

Jurat Qalandar Bakhsh

bulbul sune na kyunki qafas mein chaman ki baat

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    bulbul sune na kyūñki qafas meñ chaman baat

    āvāra-e-vatan ko lage ḳhush vatan baat

    mat pūchh haal apne bīmār-e-ishq

    hone lagī ab us ke to gor-o-kafan baat

    hai mausam-e-bahār meñ bā-sad-zabāñ ḳhamosh

    ġhunche ne kyā sunī thī kisī ke dahan baat

    aish-o-tarab zikr karūñ kyā maiñ dosto

    mujh ġham-zada se pūchhiye ranj-o-mehan baat

    nāseh maiñ kyā kahūñ ki huā kis tarah se chaak

    dast-e-junūñ se pūchho mire pairahan baat

    thā āqil-e-zamāna pa dīvāna ho gayā

    jis shaḳhs ne sunī mire dīvāna-pan baat

    sar diije rāh-e-ishq meñ par muñh na moḌiye

    patthar lakīr hai ye kohkan baat

    bazm-e-chaman bhī us se ḳhajil hai bahār meñ

    kyā pūchhne hai yaar tirī anjuman baat

    yaaro maiñ kyā kahūñ ki jalā kis tarah patang

    pūchho zabān-e-sham.a se us lagan baat

    shāyad usī zikr ho har rahguzar meñ maiñ

    suntā huuñ gosh-e-dil se har ik mard-o-zan baat

    vo shai nahiñ hai ham meñ ki jis se mile vo yaar

    aatī hai yuuñ to ham ko bhī har ek fan baat

    'jur.at' ḳhizāñ ke aate chaman meñ rahā na kuchh

    ik rah ga.ī zabāñ pe gul-o-yāsman baat

    bulbul sune na kyunki qafas mein chaman ki baat

    aawara-e-watan ko lage KHush watan ki baat

    mat puchh haal apne tu bimar-e-ishq ka

    hone lagi ab us ke to gor-o-kafan ki baat

    hai mausam-e-bahaar mein ba-sad-zaban KHamosh

    ghunche ne kya suni thi kisi ke dahan ki baat

    aish-o-tarab ka zikr karun kya main dosto

    mujh gham-zada se puchhiye ranj-o-mehan ki baat

    naseh main kya kahun ki hua kis tarah se chaak

    dast-e-junun se puchho mere pairahan ki baat

    tha aaqil-e-zamana pa diwana ho gaya

    jis shaKHs ne suni mere diwana-pan ki baat

    sar dije rah-e-ishq mein par munh na moDiye

    patthar ki si lakir hai ye kohkan ki baat

    bazm-e-chaman bhi us se KHajil hai bahaar mein

    kya puchhne hai yar teri anjuman ki baat

    yaro main kya kahun ki jala kis tarah patang

    puchho zaban-e-shama se us ki lagan ki baat

    shayad usi ka zikr ho har rahguzar mein main

    sunta hun gosh-e-dil se har ek mard-o-zan ki baat

    wo shai nahin hai hum mein ki jis se mile wo yar

    aati hai yun to hum ko bhi har ek fan ki baat

    'jurat' KHizan ke aate chaman mein raha na kuchh

    ek rah gai zaban pe gul-o-yasman ki baat

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    bulbul sune na kyunki qafas mein chaman ki baat Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now