bulbula phuTe pe ho jata hai aab
bulbulā phūTe pe ho jaatā hai aab
jaan o jānāñ meñ hai ye hastī hijāb
kyā jhalakte haiñ dur-e-dandāñ tire
aisī motī meñ kahāñ hai āb-o-tāb
haigā nūrānī ruḳh-e-raushan tirā
raat ko mahtāb din ko āftāb
be-tarah us ghar-base kī yaad meñ
ab taḌaptā hai dil-e-ḳhāna-ḳharāb
shaad āñkhoñ se kiyā hai dekh 'ishq'
abru-e-jānāñ kī bait-e-intiḳhāb
bulbula phuTe pe ho jata hai aab
jaan o jaanan mein hai ye hasti hijab
kya jhalakte hain dur-e-dandan tere
aisi moti mein kahan hai aab-o-tab
haiga nurani ruKH-e-raushan tera
raat ko mahtab din ko aaftab
be-tarah us ghar-base ki yaad mein
ab taDapta hai dil-e-KHana-KHarab
shad aankhon se kiya hai dekh 'ishq'
abru-e-jaanan ki bait-e-intiKHab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.