bura ho gaya ya bhala ho gaya
bura ho gaya ya bhala ho gaya
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
burā ho gayā yā bhalā ho gayā
mohabbat meñ jo kuchh huā ho gayā
mohabbat kā e.ajāz hai aur kyā
ki jis but ko chāhā ḳhudā ho gayā
mohabbat kareñ bhī to kis se kareñ
zamāna baḌā bevafā ho gayā
kabhī mil ham se adū se kabhī
jo tum ne kiyā vo ravā ho gayā
vo rind-e-ḳharābāt apnā 'sahar'
sunā hai ki ab pārsā ho gayā
bura ho gaya ya bhala ho gaya
mohabbat mein jo kuchh hua ho gaya
mohabbat ka eajaz hai aur kya
ki jis but ko chaha KHuda ho gaya
mohabbat karen bhi to kis se karen
zamana baDa bewafa ho gaya
kabhi mil hum se adu se kabhi
jo tum ne kiya wo rawa ho gaya
wo rind-e-KHarabaat apna 'sahar'
suna hai ki ab parsa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.