burai ko bura samjho bhalai ko bhala samjho
burā.ī ko burā samjho bhalā.ī ko bhalā samjho
isī ko ibtidā samjho isī ko intihā samjho
musībat ko musībat jaan kar bilkul na ghabrāo
balā.eñ ḳhud nahīñ ātīñ muqaddar kā likhā samjho
adāvat se panap saktā nahīñ koī zamāne meñ
mohabbat ko tum apnī zindagī kā mudda.ā samjho
gharoñ ko tum jalāte ho dukāneñ luuT lete ho
agar kār-e-junūñ hai ye to phir ḳhud ko burā samjho
havā-e-tund kashtī ko Dubo saktī nahīñ 'shamsī'
ḳhudā har shai pe qādir hai usī ko nāḳhudā samjho
burai ko bura samjho bhalai ko bhala samjho
isi ko ibtida samjho isi ko intiha samjho
musibat ko musibat jaan kar bilkul na ghabrao
balaen KHud nahin aatin muqaddar ka likha samjho
adawat se panap sakta nahin koi zamane mein
mohabbat ko tum apni zindagi ka muddaa samjho
gharon ko tum jalate ho dukanen luT lete ho
agar kar-e-junun hai ye to phir KHud ko bura samjho
hawa-e-tund kashti ko Dubo sakti nahin 'shamsi'
KHuda har shai pe qadir hai usi ko naKHuda samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.