buri aur bhali sab guzar jaegi
burī aur bhalī sab guzar jā.egī
ye kashtī yūñhī paar utar jā.egī
milegā na gulchīñ ko gul kā patā
har ik pankhuḌī yuuñ bikhar jā.egī
raheñge na mallāh ye din sadā
koī din meñ gangā utar jā.egī
idhar ek ham aur zamāna udhar
ye baazī to so bisve har jā.egī
banāvaT kī sheḳhī nahīñ rahtī shaiḳh
ye 'izzat to jā.egī par jā.egī
na puurī huī haiñ umīdeñ na hoñ
yūñhī 'umr saarī guzar jā.egī
suneñge na 'hālī' kī kab tak sadā
yahī ek din kaam kar jā.egī
buri aur bhali sab guzar jaegi
ye kashti yunhi par utar jaegi
milega na gulchin ko gul ka pata
har ek pankhuDi yun bikhar jaegi
rahenge na mallah ye din sada
koi din mein ganga utar jaegi
idhar ek hum aur zamana udhar
ye bazi to so biswe har jaegi
banawaT ki sheKHi nahin rahti shaiKH
ye 'izzat to jaegi par jaegi
na puri hui hain umiden na hon
yunhi 'umr sari guzar jaegi
sunenge na 'haali' ki kab tak sada
yahi ek din kaam kar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.