buton ka sath diya but-shikan ka sath diya
butoñ kā saath diyā but-shikan kā saath diyā
fareb-e-ishq ne har husn-e-zan kā saath diyā
mire sukūt ne kab anjuman kā saath diyā
tumhārī chashm-e-suḳhan-dar-suḳhan kā saath diyā
tumhāre gesu-e-pur-ḳham pe marne vāloñ ne
jab aayā vaqt to dār-o-rasan kā saath diyā
bahār aa.ī to mahrūm-e-rañg-o-bū haiñ vahī
junūñ ne daur-e-ḳhizāñ meñ chaman kā saath diyā
bujhe jo pichhle pahar terī anjuman ke charāġh
to dāġh-e-dil ne mire anjuman kā saath diyā
chaman meñ ek hamīñ rah ga.e ḳhizāñ ke liye
ki bulbuloñ ne bhī rang-e-chaman kā saath diyā
ḳhudā kī shaan ki nang-e-vatan vo kahlā.eñ
jinhoñ ne mar ke bhī ḳhāk-e-vatan kā saath diyā
ḳhudā kā shukr ki mayyat to Dhak ga.ī apnī
ġhubār-e-rāh ne ik be-kafan kā saath diyā
kabhī jo bazm meñ us but key baat aa niklī
janāb-e-shaiḳh ne bhī barhaman kā saath diyā
vo tarz-e-nau ho ki tarz-e-kuhan 'vafā' ham ne
har ek tarah mazāq-e-suḳhan kā saath diyā
buton ka sath diya but-shikan ka sath diya
fareb-e-ishq ne har husn-e-zan ka sath diya
mere sukut ne kab anjuman ka sath diya
tumhaari chashm-e-suKHan-dar-suKHan ka sath diya
tumhaare gesu-e-pur-KHam pe marne walon ne
jab aaya waqt to dar-o-rasan ka sath diya
bahaar aai to mahrum-e-rang-o-bu hain wahi
junun ne daur-e-KHizan mein chaman ka sath diya
bujhe jo pichhle pahar teri anjuman ke charagh
to dagh-e-dil ne mere anjuman ka sath diya
chaman mein ek hamin rah gae KHizan ke liye
ki bulbulon ne bhi rang-e-chaman ka sath diya
KHuda ki shan ki nang-e-watan wo kahlaen
jinhon ne mar ke bhi KHak-e-watan ka sath diya
KHuda ka shukr ki mayyat to Dhak gai apni
ghubar-e-rah ne ek be-kafan ka sath diya
kabhi jo bazm mein us but key baat aa nikli
janab-e-shaiKH ne bhi barhaman ka sath diya
wo tarz-e-nau ho ki tarz-e-kuhan 'wafa' hum ne
har ek tarah mazaq-e-suKHan ka sath diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.