buton ke Thukrae but-paraston ko anjuman se qarar aaya
butoñ ke Thukrā.e but-parastoñ ko anjuman se qarār aayā
tumhāre dair-o-haram se uTh kar hameñ suḳhan se qarār aayā
jabīñ na āñkhoñ se lab na aariz kī ik chhuvan se qarār aayā
na ārzū-e-butāñ rahe ham na is chalan se qarār aayā
koī jalan dil meñ aisī thī jo bujhī to soz-e-nazar se āḳhir
ye aisī ThanDak kī tishnagī thī jise tapan se qarār aayā
tumhārā chehra bhī zindagī bhar kī uljhanoñ se thakā huā thā
hamāre shāne kī justujū ko bhī is thakan se qarār aayā
alāhida zikr us kā maiñ ne kiyā hai jab bhī kisī ġhazal meñ
mizāj-e-rūh-e-suḳhan ko goyā mirī kahan se qarār aayā
ham ishq vāloñ ko meharbāno na chārāgar kā pata batāo
kahāñ sunā hai kisī bhī marhūm ko kafan se qarār aayā
haTā lī āñkhoñ se sabz sūrat basā.e haiñ ḳhvāb-e-sahrā in meñ
ḳhizāñ ke āshiq kī āgahī ko ujaaḌ ban se qarār aayā
buton ke Thukrae but-paraston ko anjuman se qarar aaya
tumhaare dair-o-haram se uTh kar hamein suKHan se qarar aaya
jabin na aankhon se lab na aariz ki ek chhuwan se qarar aaya
na aarzu-e-butan rahe hum na is chalan se qarar aaya
koi jalan dil mein aisi thi jo bujhi to soz-e-nazar se aaKHir
ye aisi ThanDak ki tishnagi thi jise tapan se qarar aaya
tumhaara chehra bhi zindagi bhar ki uljhanon se thaka hua tha
hamare shane ki justuju ko bhi is thakan se qarar aaya
alahida zikr us ka main ne kiya hai jab bhi kisi ghazal mein
mizaj-e-ruh-e-suKHan ko goya meri kahan se qarar aaya
hum ishq walon ko meharbano na chaaragar ka pata batao
kahan suna hai kisi bhi marhum ko kafan se qarar aaya
haTa li aankhon se sabz surat basae hain KHwab-e-sahra in mein
KHizan ke aashiq ki aagahi ko ujaD ban se qarar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.