bu-e-mai pa ke main chalta hua mai-KHane ko
bū-e-mai pā ke maiñ chaltā huā mai-ḳhāne ko
ik parī thī ki lagā le ga.ī dīvāne ko
mere saaqī sā kahāñ koī pilāne vaalā
āñkheñ kahtī haiñ luTā dījiye mai-ḳhāne ko
saḳhtī-e-ishq uThāne kā zamāna na rahā
ab to hai phuul bhī pathar tire dīvāne ko
haath meñ aate hī kyā paañv nikāle saaqī
āfrīñ hai tire chalte hue paimāne ko
is meñ ai ahl-e-vatan raa.e tumhārī kyā hai
kahtī hai vahshat-e-dil ghar se nikal jaane ko
chal gayā kaam yahāñ jaam chale yā na chale
bāda-kash lauT ga.e dekh kai mai-ḳhāne ko
dil sulagte raheñ parvā nahīñ hotī kuchh unheñ
sham.a achchhī ki jalā detī hai parvāne ko
shāmil-e-daur hoñ aġhyār sitam hai saaqī
apne paimāne se baḌhne de na paimāne ko
Husn-e-ḳhidmat kā sila dekhiye yuuñ paate haiñ
ruḳh milā aa.ine ko zulf milī shāne ko
chaal hai mast nazar mast adā meñ mastī
jaise aate haiñ vo TuuTe ho.e mai-ḳhāne ko
abr meñ barq kā rah rah ke chamaknā kaisā
ye bhī ik us kī hai shoḳhī mire taḌpāne ko
is meñ ai parda-nashīñ parda-darī kis kī hai
dekhne aatī hai ḳhilqat tire dīvāne ko
ḳhuub insāf hai ai bāda-kasho kyā kahnā
tum ko taskīn ho gardish ho jo paimāne ko
hai baḌī chiiz lagī dil kī ḳhudā jas ko de
aag meñ kuud paḌā dekhiye parvāne ko
ho ke pāband-e-junūñ sab se rihā.ī paa.ī
beḌiyāñ lipTī thiiñ lākhoñ tire dīvāne ko
khiñch chukī teġh to ab hai ye rukāvaT kaisī
aap taḌpāne ko aa.e haiñ ki tarsāne ko
koī aisī bhī hai sūrat tire sadqe saaqī
rakh luuñ maiñ dil meñ uThā kar tire mai-ḳhāne ko
but-e-pindār ko toḌo to ho dil paak 'jalīl'
tum ḳhudā-ḳhāna banāo isī but-ḳhāne ko
bu-e-mai pa ke main chalta hua mai-KHane ko
ek pari thi ki laga le gai diwane ko
mere saqi sa kahan koi pilane wala
aankhen kahti hain luTa dijiye mai-KHane ko
saKHti-e-ishq uThane ka zamana na raha
ab to hai phul bhi pathar tere diwane ko
hath mein aate hi kya panw nikale saqi
aafrin hai tere chalte hue paimane ko
is mein ai ahl-e-watan rae tumhaari kya hai
kahti hai wahshat-e-dil ghar se nikal jaane ko
chal gaya kaam yahan jam chale ya na chale
baada-kash lauT gae dekh kai mai-KHane ko
dil sulagte rahen parwa nahin hoti kuchh unhen
shama achchhi ki jala deti hai parwane ko
shamil-e-daur hon aghyar sitam hai saqi
apne paimane se baDhne de na paimane ko
Husn-e-KHidmat ka sila dekhiye yun pate hain
ruKH mila aaine ko zulf mili shane ko
chaal hai mast nazar mast ada mein masti
jaise aate hain wo TuTe hoe mai-KHane ko
abr mein barq ka rah rah ke chamakna kaisa
ye bhi ek us ki hai shoKHi mere taDpane ko
is mein ai parda-nashin parda-dari kis ki hai
dekhne aati hai KHilqat tere diwane ko
KHub insaf hai ai baada-kasho kya kahna
tum ko taskin ho gardish ho jo paimane ko
hai baDi chiz lagi dil ki KHuda jas ko de
aag mein kud paDa dekhiye parwane ko
ho ke paband-e-junun sab se rihai pai
beDiyan lipTi thin lakhon tere diwane ko
khinch chuki tegh to ab hai ye rukawaT kaisi
aap taDpane ko aae hain ki tarsane ko
koi aisi bhi hai surat tere sadqe saqi
rakh lun main dil mein uTha kar tere mai-KHane ko
but-e-pindar ko toDo to ho dil pak 'jalil'
tum KHuda-KHana banao isi but-KHane ko
- Taaj-e-sukhan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.