bu-e-pairahan-e-sada aae
bū-e-pairāhan-e-sadā aa.e
khiḌkiyāñ khol do havā aa.e
manzileñ apne naam hoñ mansūb
apnī jānib bhī rāsta aa.e
jalte bujhte charāġh sā dil meñ
ārzūoñ kā silsila aa.e
ḳhāmushī lafz lafz phailī thī
be-zabānī meñ kuchh sunā aa.e
Duub kar un udaas āñkhoñ meñ
ik jahān-e-tarab luTā aa.e
dil meñ rah rah ke ik ḳhalish uTThe
be-sabab ik ḳhayāl sā aa.e
bu-e-pairahan-e-sada aae
khiDkiyan khol do hawa aae
manzilen apne nam hon mansub
apni jaanib bhi rasta aae
jalte bujhte charagh sa dil mein
aarzuon ka silsila aae
KHamushi lafz lafz phaili thi
be-zabani mein kuchh suna aae
Dub kar un udas aankhon mein
ek jahan-e-tarab luTa aae
dil mein rah rah ke ek KHalish uTThe
be-sabab ek KHayal sa aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.