bund ko bund samundar ko samundar kahna
buuñd ko buuñd samundar ko samundar kahnā
sāmne koī ho sachchā.ī ko khul kar kahnā
qāfile vāloñ ke is sabr-o-tahammul ko salām
koī āsān hai rahzan ko bhī rahbar kahnā
nekiyāñ miltī haiñ nisbat se buzurgoñ kī miyāñ
ye bhī tablīġh hai is baat ko ghar ghar kahnā
baaz bā-bāz kabūtar bā-kabūtar rakhiye
kuchh munāsib nahīñ har ik ko ham-sar kahnā
guftugū ke haiñ kuchh ādāb ġhazal vāloñ meñ
zulf ko kaalī ghaTā aañkh ko sāġhar kahnā
bund ko bund samundar ko samundar kahna
samne koi ho sachchai ko khul kar kahna
qafile walon ke is sabr-o-tahammul ko salam
koi aasan hai rahzan ko bhi rahbar kahna
nekiyan milti hain nisbat se buzurgon ki miyan
ye bhi tabligh hai is baat ko ghar ghar kahna
baz ba-baz kabutar ba-kabutar rakhiye
kuchh munasib nahin har ek ko ham-sar kahna
guftugu ke hain kuchh aadab ghazal walon mein
zulf ko kali ghaTa aankh ko saghar kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.