buTa buTa munh kholega patta patta bolega
buuTā buuTā muñh kholegā patta patta bolegā
jab dhartī ko chhoḌ pakherū āsmān par Dolegā
us din barkhā sharmā.egī bādal kī chādar oḌhe
āñkhoñ se bahtā aañsū jab bhed diloñ ke kholegā
mushkil meñ katrā jaate haiñ apne bhī kahte haiñ log
chāhne vaalā bhiiḌ meñ jag kī saath kisī ke ho legā
kar kar ke ye yaad divāna un kī mohabbat un ke karam
tanhā.ī meñ rātoñ kī jab vaqt milā to ro legā
kal-yug kī pāvan gañgā meñ Dupkī khā khā kar har roz
jīvan kī mailī chādar se pāpoñ ko vo dho legā
buTa buTa munh kholega patta patta bolega
jab dharti ko chhoD pakheru aasman par Dolega
us din barkha sharmaegi baadal ki chadar oDhe
aankhon se bahta aansu jab bhed dilon ke kholega
mushkil mein katra jate hain apne bhi kahte hain log
chahne wala bhiD mein jag ki sath kisi ke ho lega
kar kar ke ye yaad diwana un ki mohabbat un ke karam
tanhai mein raaton ki jab waqt mila to ro lega
kal-yug ki pawan ganga mein Dupki kha kha kar har roz
jiwan ki maili chadar se papon ko wo dho lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.