buzurgon ne jo tahzibi asasa ghar pe rakha hai
buzurgoñ ne jo tahzībī asāsa ghar pe rakhā hai
lagāyā hai use āñkhoñ se maiñ ne sar pe rakhā hai
yahāñ kā ohda-o-mansab to māl-o-zar pe rakhā hai
magar insāf ham ne 'arsa-e-mahshar pe rakhā hai
tumhāre rāste meñ tīrgī maa.il nahīñ hogī
chale aao diyā ham ne jalā ke dar pe rakhā hai
mujhe ehsās-e-tanhā.ī nahīñ maanā ki tanhā huuñ
jo ḳhat likkhā hai tum ne vo mire bistar pe rakhā hai
asar mushkil hai kuchh kahnā batā.ūñ maiñ tumheñ kaise
hamārā faisla to bas pas-e-manzar pe rakhā hai
buzurgon ne jo tahzibi asasa ghar pe rakha hai
lagaya hai use aankhon se main ne sar pe rakha hai
yahan ka ohda-o-mansab to mal-o-zar pe rakha hai
magar insaf hum ne 'arsa-e-mahshar pe rakha hai
tumhaare raste mein tirgi mail nahin hogi
chale aao diya hum ne jala ke dar pe rakha hai
mujhe ehsas-e-tanhai nahin mana ki tanha hun
jo KHat likkha hai tum ne wo mere bistar pe rakha hai
asar mushkil hai kuchh kahna bataun main tumhein kaise
hamara faisla to bas pas-e-manzar pe rakha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.