chae ki pyali mein nili tablet gholi
chaa.e kī pyālī meñ niilī tablet gholī
sahme sahme hāthoñ ne ik kitāb phir kholī
dā.ere añdheroñ ke raushnī ke poroñ ne
coat ke button khole tie kī girah kholī
shīshe kī silā.ī meñ kaale bhuut kā chaḌhnā
baam kaaTh kā ghoḌā niim kāñch kī golī
barf meñ dabā makkhan maut rail aur rickshaw
zindagī ḳhushī rickshaw rail motareñ Dolī
ik kitāb chāñd aur peḌ sab ke kaale collar par
zehn tape kī gardish muñh meñ totoñ kī bolī
vo nahīñ milī ham ko hook button saraktī jiin
zip ke daañt khulte hī aañkh se girī cholī
chae ki pyali mein nili tablet gholi
sahme sahme hathon ne ek kitab phir kholi
daere andheron ke raushni ke poron ne
coat ke button khole tie ki girah kholi
shishe ki silai mein kale bhut ka chaDhna
baam kaTh ka ghoDa nim kanch ki goli
barf mein daba makkhan maut rail aur rickshaw
zindagi KHushi rickshaw rail motaren Doli
ek kitab chand aur peD sab ke kale collar par
zehn tape ki gardish munh mein toton ki boli
wo nahin mili hum ko hook button sarakti jin
zip ke dant khulte hi aankh se giri choli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.