chahat meri chahat hi nahin aap ke nazdik
chāhat mirī chāhat hī nahīñ aap ke nazdīk
kuchh merī haqīqat hī nahīñ aap ke nazdīk
kuchh qadr to karte mire iz.hār vafā kī
shāyad ye mohabbat hī nahīñ aap ke nazdīk
yuuñ ġhair se bebāk ishāre sar-e-mahfil
kyā ye mirī zillat hī nahīñ aap ke nazdīk
ushshāq pe kuchh had bhī muqarrar hai sitam kī
yā us kī nihāyat hī nahīñ aap ke nazdīk
aglī sī na rāteñ haiñ na ghāteñ haiñ na bāteñ
kyā ab maiñ vo 'hasrat' hī nahīñ aap ke nazdīk
chahat meri chahat hi nahin aap ke nazdik
kuchh meri haqiqat hi nahin aap ke nazdik
kuchh qadr to karte mere izhaar wafa ki
shayad ye mohabbat hi nahin aap ke nazdik
yun ghair se bebak ishaare sar-e-mahfil
kya ye meri zillat hi nahin aap ke nazdik
ushshaq pe kuchh had bhi muqarrar hai sitam ki
ya us ki nihayat hi nahin aap ke nazdik
agli si na raaten hain na ghaten hain na baaten
kya ab main wo 'hasrat' hi nahin aap ke nazdik
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.