chahaton ka meri asar bhi ho
chāhatoñ kā mirī asar bhī ho
aag jo hai idhar udhar bhī ho
raushnī kā patā karo yaaro
raat hai to kahīñ sahar bhī ho
ye nazāre jo dekhe-bhāle haiñ
kuchh hamārī na.ī nazar bhī ho
qaid hai jo kahīñ dīvāroñ meñ
us ḳhushī kī hameñ ḳhabar bhī ho
jashn hai jo udhar bahāroñ kā
vo ḳhushī kā samāñ idhar bhī ho
zindagī ke safar meñ ai āġhāz
ham-safar koī mo'atabar bhī ho
chahaton ka meri asar bhi ho
aag jo hai idhar udhar bhi ho
raushni ka pata karo yaro
raat hai to kahin sahar bhi ho
ye nazare jo dekhe-bhaale hain
kuchh hamari nai nazar bhi ho
qaid hai jo kahin diwaron mein
us KHushi ki hamein KHabar bhi ho
jashn hai jo udhar bahaaron ka
wo KHushi ka saman idhar bhi ho
zindagi ke safar mein ai aaghaz
ham-safar koi mo'atabar bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.