chahe ek shab ki ho dilkashi charaghon ki
chāhe ek shab kī ho dilkashī charāġhoñ kī
phir bhī ḳhūbsūrat hai zindagī charāġhoñ kī
bastiyoñ kī tārīkī ab bhī hai nigāhoñ meñ
kaun bhuul saktā hai dostī charāġhoñ kī
ham jalā ke nikleñge mash.al-e-dil-o-jāñ ab
kho ga.ī añdheroñ meñ raushnī charāġhoñ kī
aap ne to dekhā hai sub.h kā hasīñ manzar
aap ne nahīñ dekhī bebasī charāġhoñ kī
zindagī kī rāhoñ meñ duur tak añdherā hai
aur sab ke hoñToñ par baat thī charāġhoñ kī
jab bhī aa nikalte haiñ kuchh havāoñ ke jhoñke
lau larazne lagtī hai nuqra.ī charāġhoñ kī
kitne māhtāb apnī rahguzar meñ haiñ lekin
'sāhira' zarūrat hai aaj bhī charāġhoñ kī
chahe ek shab ki ho dilkashi charaghon ki
phir bhi KHubsurat hai zindagi charaghon ki
bastiyon ki tariki ab bhi hai nigahon mein
kaun bhul sakta hai dosti charaghon ki
hum jala ke niklenge mashal-e-dil-o-jaan ab
kho gai andheron mein raushni charaghon ki
aap ne to dekha hai subh ka hasin manzar
aap ne nahin dekhi bebasi charaghon ki
zindagi ki rahon mein dur tak andhera hai
aur sab ke honTon par baat thi charaghon ki
jab bhi aa nikalte hain kuchh hawaon ke jhonke
lau larazne lagti hai nuqrai charaghon ki
kitne mahtab apni rahguzar mein hain lekin
'sahira' zarurat hai aaj bhi charaghon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.