chahe jina bhaari hai
chāhe jiinā bhārī hai
marnā ik ġhaddārī hai
aag lagā de duniyā ko
dil meñ gar chingārī hai
terī shohrat hafta bhar
merī lambī paarī hai
konā tanhā.ī andher
apnī gahrī yaarī hai
tere naam kī ab ghar meñ
ik ḳhālī almārī hai
marghaT ke ai būḌhe peḌ
kyā tū merī savārī hai
haal mirā pūchhā tū kah
ek qayāmat jaarī hai
chahe jina bhaari hai
marna ek ghaddari hai
aag laga de duniya ko
dil mein gar chingari hai
teri shohrat hafta bhar
meri lambi pari hai
kona tanhai andher
apni gahri yari hai
tere nam ki ab ghar mein
ek KHali almari hai
marghaT ke ai buDhe peD
kya tu meri sawari hai
haal mera puchha tu kah
ek qayamat jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.