chahe kandhon pe aasman rakh do
chāhe kāñdhoñ pe āsmāñ rakh do
mujh pe koī bhī imtihāñ rakh do
kaun kahtā hai hijr kā qissa
vasl ke ain darmiyāñ rakh do
mere ḳhvāboñ kī kirchiyāñ chhoḌo
aa.ina sāmne vahāñ rakh do
zindagī aur kuchh nikal aa.ī
tum rivāyāt-e-raftagāñ rakh do
ḳhvāb meñ bhī farār mumkin hai
mere bistar pe beḌiyāñ rakh do
chahe kandhon pe aasman rakh do
mujh pe koi bhi imtihan rakh do
kaun kahta hai hijr ka qissa
wasl ke ain darmiyan rakh do
mere KHwabon ki kirchiyan chhoDo
aaina samne wahan rakh do
zindagi aur kuchh nikal aai
tum riwayat-e-raftagan rakh do
KHwab mein bhi farar mumkin hai
mere bistar pe beDiyan rakh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.