chahen hain ye hum bhi ki rahe pak mohabbat
chāheñ haiñ ye ham bhī ki rahe paak mohabbat
par jis meñ ye duurī ho vo kyā ḳhaak mohabbat
aa ishq agar qasd tijārat hai ki is jā
haiñ tuuda har ik ghar do sah aflāk mohabbat
nāseh tū abas sī ke na rusvā ho ki zālim
rakhtā hai garebāñ se mire chaak mohabbat
apne to liye zahr kī tāsīr thī is meñ
go vāste aalam ke ho tiryāk mohabbat
bulbul to huuñ 'qā.em' maiñ par us baaġh kā jis meñ
be-rutba hai misl-e-ḳhas-o-ḳhāshāk mohabbat
chahen hain ye hum bhi ki rahe pak mohabbat
par jis mein ye duri ho wo kya KHak mohabbat
aa ishq agar qasd tijarat hai ki is ja
hain tuda har ek ghar do sah aflak mohabbat
naseh tu abas si ke na ruswa ho ki zalim
rakhta hai gareban se mere chaak mohabbat
apne to liye zahr ki tasir thi is mein
go waste aalam ke ho tiryak mohabbat
bulbul to hun 'qaem' main par us bagh ka jis mein
be-rutba hai misl-e-KHas-o-KHashak mohabbat
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.