chahun jaisa main wo waisa nahin karne dete
chāhūñ jaisā maiñ vo vaisā nahīñ karne dete
kaam dil ko mire dil sā nahīñ karne dete
tere chhūne kā ho ehsās ki ham ko jis se
ham havāoñ ko ye jhāñsa nahīñ karne dete
log aate to haiñ milne pa kisī par ab ham
apne is dil ko bharosa nahīñ karne dete
maiñ tumheñ raat kī sachchā.ī batā saktā huuñ
chāñd taare pe ḳhulāsa nahīñ karne dete
bas ijāzat hai mujhe dekhne bhar kī sab ko
haal apnā tire jaisā nahīñ karne dete
ashk chāheñ bhī agar ġham mirā halkā karnā
ḳhvāb āñkhoñ ko dilāsa nahīñ karne dete
chahun jaisa main wo waisa nahin karne dete
kaam dil ko mere dil sa nahin karne dete
tere chhune ka ho ehsas ki hum ko jis se
hum hawaon ko ye jhansa nahin karne dete
log aate to hain milne pa kisi par ab hum
apne is dil ko bharosa nahin karne dete
main tumhein raat ki sachchai bata sakta hun
chand tare pe KHulasa nahin karne dete
bas ijazat hai mujhe dekhne bhar ki sab ko
haal apna tere jaisa nahin karne dete
ashk chahen bhi agar gham mera halka karna
KHwab aankhon ko dilasa nahin karne dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.