chaak-e-dil bhi kabhi silte honge
chāk-e-dil bhī kabhī silte hoñge
log bichhḌe hue milte hoñge
roz-o-shab ke unhī vīrānoñ meñ
ḳhvāb ke phuul to khilte hoñge
nāz-parvar vo tabassum se kahīñ
silsile dard ke milte hoñge
ham bhī ḳhushbū haiñ sabā se kahiyo
ham-nafas roz na milte hoñge
sub.h zindāñ meñ bhī hotī hogī
phuul maqtal meñ bhī khilte hoñge
ajnabī shahr kī galiyoñ meñ 'adā'
dil kahāñ log hī milte hoñge
chaak-e-dil bhi kabhi silte honge
log bichhDe hue milte honge
roz-o-shab ke unhi viranon mein
KHwab ke phul to khilte honge
naz-parwar wo tabassum se kahin
silsile dard ke milte honge
hum bhi KHushbu hain saba se kahiyo
ham-nafas roz na milte honge
subh zindan mein bhi hoti hogi
phul maqtal mein bhi khilte honge
ajnabi shahr ki galiyon mein 'ada'
dil kahan log hi milte honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.