chand bhi khoya khoya sa hai tare bhi KHwabida hain
chāñd bhī khoyā khoyā sā hai taare bhī ḳhvābīda haiñ
aaj fazā ke bojhal-pan se lahje bhī sanjīda haiñ
jaane kin kin logoñ se is dard ke kyā kyā rishte the
hijr kī is ābād sarā meñ sab chehre nādīda haiñ
itne barsoñ ba.ad bhī donoñ kaise TuuT ke milte haiñ
tū hai kitnā sāda-dil aur ham kitne pechīda haiñ
sun jānāñ ham tark-e-ta.alluq aur kisī din kar leñge
aaj tujhe bhī ujlat sī hai ham bhī kuchh ranjīda haiñ
kānoñ meñ ik sargoshī hai be-ma.anī sī sargoshī
āñkhoñ meñ kuchh ḳhvāb saje haiñ ḳhvāb bhī umr-rasīda haiñ
ghar kī vo maḳhdūsh imārat gir ke phir ta.amīr huī
ab āñgan meñ peḌ haiñ jitne saare shāḳh burīda haiñ
is bastī meñ ek saḌak hai jis se ham ko nafrat hai
us ke nīche pagDanDī hai jis ke ham girvīda haiñ
chand bhi khoya khoya sa hai tare bhi KHwabida hain
aaj faza ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain
jaane kin kin logon se is dard ke kya kya rishte the
hijr ki is aabaad sara mein sab chehre nadida hain
itne barson baad bhi donon kaise TuT ke milte hain
tu hai kitna sada-dil aur hum kitne pechida hain
sun jaanan hum tark-e-talluq aur kisi din kar lenge
aaj tujhe bhi ujlat si hai hum bhi kuchh ranjida hain
kanon mein ek sargoshi hai be-mani si sargoshi
aankhon mein kuchh KHwab saje hain KHwab bhi umr-rasida hain
ghar ki wo maKHdush imarat gir ke phir tamir hui
ab aangan mein peD hain jitne sare shaKH burida hain
is basti mein ek saDak hai jis se hum ko nafrat hai
us ke niche pagDanDi hai jis ke hum girwida hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.