chand chhat chhoD rah par nikla
chāñd chhat chhoḌ raah par niklā
ghar ko chhoḌā to dil se Dar niklā
log kahte the vo rahī manzil
umr bhar kā magar safar niklā
aañkh vaale to be-basar nikle
aur ik andhā dīda-var niklā
log the muntazir kināroñ par
duur kitnā vo Duub kar niklā
aaj bachchoñ ko DāñTtā hai magar
ḳhud vo kab ghar se pūchh kar niklā
chāñd niklā to yuuñ lagā mujh ko
shab kī dīvār meñ bhī dar niklā
kī nazar raat āsmāñ kī taraf
yuuñ lagā sar pe ik khañDar niklā
jis ko buzdil samajh rahā thā 'raaj
dekh terā hī ham-safar niklā
chand chhat chhoD rah par nikla
ghar ko chhoDa to dil se Dar nikla
log kahte the wo rahi manzil
umr bhar ka magar safar nikla
aankh wale to be-basar nikle
aur ek andha dida-war nikla
log the muntazir kinaron par
dur kitna wo Dub kar nikla
aaj bachchon ko DanTta hai magar
KHud wo kab ghar se puchh kar nikla
chand nikla to yun laga mujh ko
shab ki diwar mein bhi dar nikla
ki nazar raat aasman ki taraf
yun laga sar pe ek khanDar nikla
jis ko buzdil samajh raha tha 'raj
dekh tera hi ham-safar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.