chand jab meri chhat pe aata hai
chāñd jab merī chhat pe aatā hai
har diye ko gale lagātā hai
jaur-o-zulm-o-sitam kī zulmat meñ
sabr kā jugnū jagmagātā hai
ġham ke sūraj kī tez kirnoñ se
dil kā tālāb suukh jaatā hai
niiñd uḌ jaatī hai siyāsat kī
jab qalam inqalāb laatā hai
kyā qarīb aa ga.ī mirī manzil
kyoñ qadam merā Dagmagātā hai
vo mirā aks-e-e.atibār hai jo
terī āñkhoñ meñ jhilmilātā hai
kaun har roz dard kā gul-dān
ashk ke phūloñ se sajātā hai
kis ne TuuTe diloñ ko joḌ diyā
shahr meñ kis ko fan ye aatā hai
apne darbār meñ 'qamar' bādal
roz dariyā ko kyoñ bulātā hai
chand jab meri chhat pe aata hai
har diye ko gale lagata hai
jaur-o-zulm-o-sitam ki zulmat mein
sabr ka jugnu jagmagata hai
gham ke suraj ki tez kirnon se
dil ka talab sukh jata hai
nind uD jati hai siyasat ki
jab qalam inqalab lata hai
kya qarib aa gai meri manzil
kyon qadam mera Dagmagata hai
wo mera aks-e-eatibar hai jo
teri aankhon mein jhilmilata hai
kaun har roz dard ka gul-dan
ashk ke phulon se sajata hai
kis ne TuTe dilon ko joD diya
shahr mein kis ko fan ye aata hai
apne darbar mein 'qamar' baadal
roz dariya ko kyon bulata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.