chand KHud ko dekh kar sharmaega
chāñd ḳhud ko dekh kar sharmā.egā
bādaloñ kī oT meñ chhup jā.egā
yuuñ udāsī meñ na tū is ko guzār
umr bhar is shaam ko pachhtā.egā
aañkh khulte hī vo DhūñDhegā mujhe
ḳhvāb aisā us ko merā aa.egā
chal tū kitnā bhī salīqe se magar
rāstoñ meñ Thokareñ to khā.egā
rauñdtā hai aaj jo is ḳhaak ko
ek din vo ḳhaak meñ mil jā.egā
gungunā ke dekh tū bhī ye ġhazal
lai meñ is kī Dūbtā hī jā.egā
chand KHud ko dekh kar sharmaega
baadalon ki oT mein chhup jaega
yun udasi mein na tu is ko guzar
umr bhar is sham ko pachhtaega
aankh khulte hi wo DhunDhega mujhe
KHwab aisa us ko mera aaega
chal tu kitna bhi saliqe se magar
raston mein Thokaren to khaega
raundta hai aaj jo is KHak ko
ek din wo KHak mein mil jaega
gunguna ke dekh tu bhi ye ghazal
lai mein is ki Dubta hi jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.