chand ko dekh ke jugnu ne farmaya hai
chāñd ko dekh ke jugnū ne farmāyā hai
sub.h kā bhūlā shaam ko lauT ke aayā hai
vasl ne kam-umrī meñ jaan gañvā.ī aur
hijr hamārā amrit pī kar aayā hai
jo na ho paayā vo us kī marzī hai
jo bhī hotā hai vo us kī maayā hai
darj huā hai bad-nāmī ke khāte meñ
ishq meñ ham ne jitnā naam kamāyā hai
hairat karte haiñ bachche jab sunte haiñ
ek ruupe meñ ham ne kyā kyā khāyā hai
phir māyūsī ko is meñ phañsānā hogā
phir se ummīdoñ ne jaal bichhāyā hai
aur koī ab rañg nahīñ chaḌhtā mujh par
us ne aisā apnā rañg jamāyā hai
lafzoñ ne jab haath kabhī khīñchā apne
ḳhāmoshī ne apnā haath baḌhāyā hai
ḳhushiyoñ kā lamha bhī bachchoñ jaisā hai
ghuTnoñ ghuTnoñ chal kar mujh tak aayā hai
kaisī kaisī bāteñ dil meñ aa.iiñ haiñ
raat ga.e jab phone kisī kā aayā hai
chand ko dekh ke jugnu ne farmaya hai
subh ka bhula sham ko lauT ke aaya hai
wasl ne kam-umri mein jaan ganwai aur
hijr hamara amrit pi kar aaya hai
jo na ho paya wo us ki marzi hai
jo bhi hota hai wo us ki maya hai
darj hua hai bad-nami ke khate mein
ishq mein hum ne jitna nam kamaya hai
hairat karte hain bachche jab sunte hain
ek rupe mein hum ne kya kya khaya hai
phir mayusi ko is mein phansana hoga
phir se ummidon ne jal bichhaya hai
aur koi ab rang nahin chaDhta mujh par
us ne aisa apna rang jamaya hai
lafzon ne jab hath kabhi khincha apne
KHamoshi ne apna hath baDhaya hai
KHushiyon ka lamha bhi bachchon jaisa hai
ghuTnon ghuTnon chal kar mujh tak aaya hai
kaisi kaisi baaten dil mein aain hain
raat gae jab phone kisi ka aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.