chand ko reshmi baadal se ulajhta dekhun
chāñd ko reshmī bādal se ulajhtā dekhūñ
vo havā hai kabhī āñchal kabhī chehrā dekhūñ
dekhne niklā huuñ duniyā ko magar kyā dekhūñ
jis taraf aañkh uThā.ūñ vahī chehrā dekhūñ
us ke chehre se lapak uTThe to lau tham jaa.e
dil meñ hasrat hai darīcha vahī khultā dekhūñ
dā.era khīñch ke baiThā huuñ baḌī muddat se
ḳhud se niklūñ to kisī aur kā rasta dekhūñ
ye vo darvāza hai kholūñ to koī aa na sake
aur agar band karūñ dil hī meñ duniyā dekhūñ
vo ajab chiiz hai us kā koī chehra hī nahīñ
ek pardā jo uThe dūsrā pardā dekhūñ
vo chakā-chauñd se niklegā na ghar se koī
dhuup agar chhiTke vo hañstā huā chehra dekhūñ
merā saaya ho ki maiñ koī to dhokā hai zarūr
ghar meñ ā.īna ki ghar se pare dariyā dekhūñ
koī phal-phūl nahīñ maġhribī chaTTānoñ par
chāñd jis gaañv se ugtā hai vo duniyā dekhūñ
rāt-bhar roke bhī bujhtī nahīñ siine kī tapish
kabhī yuuñ ho ke sirhāne ko sulagtā dekhūñ
'ashk' kuchh baat hī karne kā bahāna mil jaa.e
us ke chehre pe agar yaas kā saayā dekhūñ
chand ko reshmi baadal se ulajhta dekhun
wo hawa hai kabhi aanchal kabhi chehra dekhun
dekhne nikla hun duniya ko magar kya dekhun
jis taraf aankh uThaun wahi chehra dekhun
us ke chehre se lapak uTThe to lau tham jae
dil mein hasrat hai daricha wahi khulta dekhun
daera khinch ke baiTha hun baDi muddat se
KHud se niklun to kisi aur ka rasta dekhun
ye wo darwaza hai kholun to koi aa na sake
aur agar band karun dil hi mein duniya dekhun
wo ajab chiz hai us ka koi chehra hi nahin
ek parda jo uThe dusra parda dekhun
wo chaka-chaund se niklega na ghar se koi
dhup agar chhiTke wo hansta hua chehra dekhun
mera saya ho ki main koi to dhoka hai zarur
ghar mein aaina ki ghar se pare dariya dekhun
koi phal-phul nahin maghribi chaTTanon par
chand jis ganw se ugta hai wo duniya dekhun
raat-bhar roke bhi bujhti nahin sine ki tapish
kabhi yun ho ke sirhane ko sulagta dekhun
'ashk' kuchh baat hi karne ka bahana mil jae
us ke chehre pe agar yas ka saya dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.