chand manga na kabhi humne sitare mange
chāñd māñgā na kabhī ham ne sitāre māñge
bas vo do din jo tire saath guzāre māñge
sirf ik dāġh-e-tamannā ke sivā kuchh na milā
dil ne kyā soch ke nazroñ ke ishāre māñge
ham ne jab jaam uThāyā hai to vo yaad aayā
jis kī ḳhātir mai-o-mīnā ke sahāre māñge
Dhal ga.ī raat to ḳhvāb-e-ruḳh-e-jānāñ TuuTā
bujh gayā chāñd to āñkhoñ ne sitāre māñge
uTh ga.ī aañkh to girdāb kā dil Duub gayā
khul ga.ī zulf to maujoñ ne kināre māñge
raat vo hashr gulistāñ meñ uThā hai yaaro
sub.h har phuul ne shabnam se sharāre māñge
chand manga na kabhi hum ne sitare mange
bas wo do din jo tere sath guzare mange
sirf ek dagh-e-tamanna ke siwa kuchh na mila
dil ne kya soch ke nazron ke ishaare mange
hum ne jab jam uThaya hai to wo yaad aaya
jis ki KHatir mai-o-mina ke sahaare mange
Dhal gai raat to KHwab-e-ruKH-e-jaanan TuTa
bujh gaya chand to aankhon ne sitare mange
uTh gai aankh to girdab ka dil Dub gaya
khul gai zulf to maujon ne kinare mange
raat wo hashr gulistan mein uTha hai yaro
subh har phul ne shabnam se sharare mange
- Book : Naqd-e-jan (Pg. 30)
- Author : Shahid Akhtar
- Publication : madhya pradesh urdu academy Bhopal (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.