Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand nikle kisi jaanib teri zebai ka

Faiz Ahmad Faiz

chand nikle kisi jaanib teri zebai ka

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    chāñd nikle kisī jānib tirī zebā.ī

    rañg badle kisī sūrat shab-e-tanhā.ī

    daulat-e-lab se phir ai ḳhusrav-e-shīrīñ-dahanāñ

    aaj arzāñ ho koī harf shanāsā.ī

    garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanāñ

    tazkira chheḌe tirī pairahan-ārā.ī

    sehn-e-gulshan meñ kabhī ai shah-e-shamshād-qadāñ

    phir nazar aa.e salīqa tirī ra.anā.ī

    ek baar aur masīhā-e-dil-e-dil-zadagāñ

    koī va.ada koī iqrār masīhā.ī

    diida o dil ko sambhālo ki sar-e-shām-e-firāq

    sāz-o-sāmān baham pahuñchā hai rusvā.ī

    chand nikle kisi jaanib teri zebai ka

    rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka

    daulat-e-lab se phir ai KHusraw-e-shirin-dahanan

    aaj arzan ho koi harf shanasai ka

    garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan

    tazkira chheDe teri pairahan-arai ka

    sehn-e-gulshan mein kabhi ai shah-e-shamshad-qadan

    phir nazar aae saliqa teri ranai ka

    ek bar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan

    koi wada koi iqrar masihai ka

    dida o dil ko sambhaalo ki sar-e-sham-e-firaq

    saz-o-saman baham pahuncha hai ruswai ka

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Farida Khanum

    Farida Khanum

    Farida Khanum

    Farida Khanum

    Maaz Abdul Moid

    Maaz Abdul Moid

    Habib Wali Mohammad

    Habib Wali Mohammad

    RECITATIONS

    Farida Khanum

    Farida Khanum,

    Farida Khanum

    chand nikle kisi jaanib teri zebai ka Farida Khanum

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now