chand par kyon main akeli jati
chāñd par kyoñ maiñ akelī jaatī
saath koī to sahelī jaatī
aao mil-jul ke saheñ hijr kī dhuup
mujh se tanhā nahīñ jhelī jaatī
bolnā mujh se na tum band karo
har taraf baat hai phailī jaatī
ham agar aql ko darbāñ karte
haath se dil kī havelī jaatī
haa.e sandal ke daraḳhtoñ kī ye raakh
jaan ḳhushbū kī na le lī jaatī
ban to saktā thā nayā ik kamra
apne āñgan kī chamelī jaatī
pyaas jaatī na agar sāhil par
kyoñ samundar meñ akelī jaatī
chāñd jhāñke jo kitchen meñ 'parvīn'
mujh se roTī nahīñ belī jaatī
chand par kyon main akeli jati
sath koi to saheli jati
aao mil-jul ke sahen hijr ki dhup
mujh se tanha nahin jheli jati
bolna mujh se na tum band karo
har taraf baat hai phaili jati
hum agar aql ko darban karte
hath se dil ki haweli jati
hae sandal ke daraKHton ki ye rakh
jaan KHushbu ki na le li jati
ban to sakta tha naya ek kamra
apne aangan ki chameli jati
pyas jati na agar sahil par
kyon samundar mein akeli jati
chand jhanke jo kitchen mein 'parwin'
mujh se roTi nahin beli jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.