chand sa chehra kuchh itna bebak hua
chāñd sā chehra kuchh itnā bebāk huā
ek hī pal meñ shab kā dāman chaak huā
ghar ke andar sīdhe sachche log mile
beTā pardesī ho kar chālāk huā
darvāzoñ kī rāteñ chaukīdār huiiñ
aur ujālā jismoñ kī poshāk huā
jo aayā ik daaġh lagā kar chalā gayā
us ne chhuā to merā dāman paak huā
mausam ne āvāz lagā.ī ḳhushbū ko
titlī kā dil phūloñ kī imlāk huā
mere jism se vaqt ne kapḌe noch liye
manzar manzar ḳhud merī poshāk huā
chand sa chehra kuchh itna bebak hua
ek hi pal mein shab ka daman chaak hua
ghar ke andar sidhe sachche log mile
beTa pardesi ho kar chaalak hua
darwazon ki raaten chaukidar huin
aur ujala jismon ki poshak hua
jo aaya ek dagh laga kar chala gaya
us ne chhua to mera daman pak hua
mausam ne aawaz lagai KHushbu ko
titli ka dil phulon ki imlak hua
mere jism se waqt ne kapDe noch liye
manzar manzar KHud meri poshak hua
- Book : Mehrab-e-ishq (Pg. 111)
- Author : Azm Shakrii
- Publication : Lamhe Lamhe Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.