chand se phul se ya meri zaban se suniye
chāñd se phuul se yā merī zabāñ se suniye
har jagah aap kā qissa hai jahāñ se suniye
kyā zarūrī hai ki har parda uThāyā jaa.e
mere hālāt bhī apne hī makāñ se suniye
sab ko aatā nahīñ duniyā ko sajā kar jiinā
zindagī kyā hai mohabbat kī zabāñ se suniye
kaun paḌh saktā hai paanī pe likhī tahrīreñ
kis ne kyā likkhā hai ye āb-e-ravāñ se suniye
chāñd meñ kaise huī qaid kisī ghar kī ḳhushī
ye kahānī kisī masjid kī azaañ se suniye
chand se phul se ya meri zaban se suniye
har jagah aap ka qissa hai jahan se suniye
kya zaruri hai ki har parda uThaya jae
mere haalat bhi apne hi makan se suniye
sab ko aata nahin duniya ko saja kar jina
zindagi kya hai mohabbat ki zaban se suniye
kaun paDh sakta hai pani pe likhi tahriren
kis ne kya likkha hai ye aab-e-rawan se suniye
chand mein kaise hui qaid kisi ghar ki KHushi
ye kahani kisi masjid ki azan se suniye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.