chand sitare phul parinde sham sawera ek taraf
chāñd sitāre phuul parinde shaam saverā ek taraf
saarī duniyā us kā charba us kā chehrā ek taraf
vo laḌ kar bhī so jaa.e to us kā māthā chūmūñ maiñ
us se mohabbat ek taraf hai us se jhagḌā ek taraf
jis shai par vo uñglī rakh de us ko vo dilvānī hai
us kī ḳhushiyāñ sab se avval sastā mahñgā ek taraf
saarī duniyā jo bhī bole sab kuchh shor-sharāba hai
sab kā kahnā ek taraf hai us kā kahnā ek taraf
zaḳhmoñ par marham lagvāo lekin us ke hāthoñ se
chāra-sāzī ek taraf hai us kā chhūnā ek taraf
us ne saarī duniyā māñgī maiñ ne us ko māñgā hai
us ke sapne ek taraf haiñ merā sapnā ek taraf
chand sitare phul parinde sham sawera ek taraf
sari duniya us ka charba us ka chehra ek taraf
wo laD kar bhi so jae to us ka matha chumun main
us se mohabbat ek taraf hai us se jhagDa ek taraf
jis shai par wo ungli rakh de us ko wo dilwani hai
us ki KHushiyan sab se awwal sasta mahnga ek taraf
sari duniya jo bhi bole sab kuchh shor-sharaba hai
sab ka kahna ek taraf hai us ka kahna ek taraf
zaKHmon par marham lagwao lekin us ke hathon se
chaara-sazi ek taraf hai us ka chhuna ek taraf
us ne sari duniya mangi main ne us ko manga hai
us ke sapne ek taraf hain mera sapna ek taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.