chand suraj mere ghar aate hain
chāñd sūraj mire ghar aate haiñ
kyā hasīñ ḳhvāb nazar aate haiñ
mujh se kahte haiñ Thahar dam le le
raah meñ jitne shajar aate haiñ
dekhnā mere taḳhayyul kā kamāl
nahīñ aate vo magar aate haiñ
barq hañstī hai nasheman pe mire
abr bā-dīda-e-tar aate haiñ
dekh kar apne shikasta dil ko
yaad mahloñ ke khañDar aate haiñ
hai burā haal unheñ kyā mālūm
vo bhalā kab mire ghar aate haiñ
sach hai pathrāv tabhī hotā hai
jab daraḳhtoñ pe samar aate haiñ
phone uThā.egī na 'parvīn' us vaqt
bachche schōl se ghar aate haiñ
chand suraj mere ghar aate hain
kya hasin KHwab nazar aate hain
mujh se kahte hain Thahar dam le le
rah mein jitne shajar aate hain
dekhna mere taKHayyul ka kamal
nahin aate wo magar aate hain
barq hansti hai nasheman pe mere
abr ba-dida-e-tar aate hain
dekh kar apne shikasta dil ko
yaad mahlon ke khanDar aate hain
hai bura haal unhen kya malum
wo bhala kab mere ghar aate hain
sach hai pathraw tabhi hota hai
jab daraKHton pe samar aate hain
phone uThaegi na 'parwin' us waqt
bachche school se ghar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.