chand tare jise har shab dekhen
chāñd taare jise har shab dekheñ
ham bhī us shoḳh ko yārab dekheñ
yuuñ mileñ un se ki apnā chehra
vo bhī hairān hoñ, kal jab dekheñ
pahle bas dil ko ḳhabar thī dil kī
ab vafā aam huī sab dekheñ
qurb meñ kyā hai jo duurī meñ nahīñ
tum jo aao to kisī shab dekheñ
jī meñ hai phir kareñ iz.hār-e-vafā
phir tire larze hue lab dekheñ
maiñ ki huuñ ek hī āshufta-ḳhayāl
log har baat meñ matlab dekheñ
jo kisī ne kabhī dekhe na sune
vo tamāshe vo fusūñ ab dekheñ
laakh patthar sahī vo but 'anjum'
do-ghaḌī ham se mile tab dekheñ
chand tare jise har shab dekhen
hum bhi us shoKH ko yarab dekhen
yun milen un se ki apna chehra
wo bhi hairan hon, kal jab dekhen
pahle bas dil ko KHabar thi dil ki
ab wafa aam hui sab dekhen
qurb mein kya hai jo duri mein nahin
tum jo aao to kisi shab dekhen
ji mein hai phir karen izhaar-e-wafa
phir tere larze hue lab dekhen
main ki hun ek hi aashufta-KHayal
log har baat mein matlab dekhen
jo kisi ne kabhi dekhe na sune
wo tamashe wo fusun ab dekhen
lakh patthar sahi wo but 'anjum'
do-ghaDi hum se mile tab dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.